Saturday, February 7, 2015

MODEL NIKAHNAMA - Nizam e Izdiwaj

MODEL NIKAHNAMA
Nizam e Izdiwaj
Syedul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi Sahab Qibla
Shia Personnel Law Board ke 
Model Nikahnama ka asl ma'khaz. 

Taqreeban 75 saal pahle Sarkar Syed ul Ulama ne Madrasatul Waezin ke bayanaat meiN iss masale ki taraf Ulama wa Momeneen ki tawajjo mabzool karaai thi, ke Khwateen ki mushkilaat ko malhooz rakhte huey yeh zaroori hai ke waqt e Nikah Zauja ko 'Wikalat e Talaq' ka haq de diya jaaey. Phir kaafi arse ke baad Allama ne 13 December 1975 ko Mujahid e Millat Syed Ibne Hussain Naqvi ke farzand e arjumand ka Nikah, SeeghoN mein " Bil Shartil ma'loom " aur seeghaey Taukeel ke izaafe ke saath padh hi diya.. .. .. .. 
"Kahin par nazar hai, kahin par nishana" ke misdaq hazraat ne jab "Model Nikahnama " peish kiya to ma'khaz se thoda alag thalag rahne ke chakkar meiN eik bhaari ghalti kar di. Yaani yeh kahne ke bajaaey ke waqt e Nikah Zauja wikalat e talaq ka haq hasil karke faaeda uthaaey, balki yeh farma diya ke Aurat, Khula se parey hokar Mard ko talaq de sakti hai, aur hadd hai ke Ayatullah Sistani par bhi ilzam laga diya gaya ke unhoN ne bhi mazkoora baat ki himayat kar di hai. 

                         Nizam e Izdiwaj








No comments:

Post a Comment