Saturday, December 12, 2015

Shoae ghufranmabi - Murattaba : Aseef Jaesi

Shoae ghufranmabi 

Murattaba : Aseef Jaesi 

FREE DOWNLOAD LINK: 

https://www.slideshare.net/changezi/shoae-ghufranmabi-murattaba-aseef-jaesi/edit?src=slideview


" Hazrat Ghufranmab r.a. unn gini chuni hastiyon meiN haiN jinko apne zamaane meiN, na hi baad ke kisi daur mein kisi ta'rruf ki zaroorat hoti hai. Aap barre sagheere Hind ke pahle Mujtahid hi nahiN haiN balki apne qalam wa qadam se Hindostan mein usool aur 'Ijtehad' ki buniyad qaaem karne waale aur uske farogh meiN kaleedi kirdar ada karne waale haiN. Aap apne ilmi mujahedaat aur islahi iqdamaat aur qaedaana sarkardigiyoN se muhie deen, inqilab angez fikr, ijtehadi school ke baani, tadrees o taleem ke farogh ko simt deine waale haiN, jismeiN kisi shak o shubhe ki gunjaaesh nahiN hai."  

Zeire nazar kitab ' Shoae Ghufranmabi ' Mustafa Hussain Sahab Aseef* Jaesi ki mehnat o kawish ka nateeja hai. Ismein Shoarae karaam ke kalam ke alawa Hazrat Ghufranmab r.a. par jin Ulamae karaam ke mazameen shamil haiN unke asmaaey girami yeh hain: 
Fehrist Mazmoon Nigar:
Ayatullah Al Uzma Syed Ali Naqi Naqvi Sahab Qibla t.s. 
Mirza Mohammed Hadi Aziz* Lucknowi 
maulana Syed Agha Mehdi Sahab Qibla 
Maulana Sheikh Mohammed Mustafa Sahab Qibla 
Mustafa Hussain Sahab Aseef* Jaesi 
Maulana Syed Akhtar Rizvi Sahab Gopalpuri 
Ayatullah Al Uzma Syed Dildar Ali Naqvi Ghufranmab r.a. 
Maulana Mohammed Jawad Sahab Qibla 
Allama Syed Mohammed Razi Sahab Qibla, Pakistan 
Fazil Nabil Chaudhari Sibte Mohammed Naqvi Sahab 
Maulana Gulab Ali Shah Bukhari 


Shoaey Tashayyo - Murattaba: Syed Mustafa Hussain Aseef* Jaesi

Shoaey Tashayyo 

Murattaba: Syed Mustafa Hussain Aseef* Jaesi 

Sheeyat ka taarruf, Mazhab e Shia eik nazar meiN, 
Hindostan mein Sheeyat ki tareekh, 
Firqae Shia Naji hai (Sheikh M. Shaltoot-Jama e Azhar, Cairo), 
Syed Mohammed Baqar Shams, 
Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi t.s. 
Aseef Jaesi, Shaer Ijtehadi, Fazil Lucknawi,  

FREE DOWNLOAD LINK: 

https://www.slideshare.net/changezi/shoaey-tashayyo-murattaba-syed-mustafa-hussain-aseef-jaesi/edit?src=slideview 


(Hindi) Karbala ke dukhit Hussain (a.s.) - Ayatullah Al Uzma Syed Ali Naqi Naqvi t.s.

(Hindi) Karbala ke dukhit Hussain (a.s.) 

Ayatullah Al Uzma Syed Ali Naqi Naqvi t.s. 

Translated by: Mirza Sajjad Hussain. 

kirpa karke thoda sa samay deikar iss patrika ka addhayan karein to aapko gyat ho jaeiga ke Hussain a.s. kaun thEy, unka dhyey kya tha, tatha uss dhyey ke washibhoot hokar unhoN ne kya kiya tha tatha uska kya pariRaam hua? 

FREE DOWNLOAD LINK: 

https://www.slideshare.net/changezi/karbal-ke-dukhit-hussain-as-ayatullah-al-uzma-syed-ali-naqi-naqvi-ts/edit?src=slideview 



Meyar e Falah wa Najat - By: Syed ul Ulema Ayatullah Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.


Meyar e Falah wa Najat 

Syed ul Ulema Ayatullah Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

FREE DOWNLOAD LINK:

https://www.slideshare.net/changezi/meyar-e-falah-wa-najat-by-syed-ul-ulema-ayatullah-ali-naqi-naqvi-sahab-ts/edit?src=slideview




Quran Majeed Ke Andaz e Guftagu Mein Meyar e Tahzeeb wa Rawadari - By: Syed ul Ulema t.s.

Quran Majeed Ke Andaz e Guftagu Mein 
Meyar e Tahzeeb wa Rawadari 

Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi Sahab Qibla t.s. 

FREE DOWNLOAD LINK: 

https://www.slideshare.net/changezi/quran-majeed-ke-andaz-e-guftagu-mein-meyar-e-tahzeeb-wa-rawadari-by-syed-ul-ulema-ts/edit?src=slideview 



(Hindi) - Khutbat e Karbala - By: Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

(Hindi) - Khutbat e Karbala 

Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

Khutba Arabi lafz hai jisko Urdu mein taqreer kahte haiN. 

FREE DOWNLOAD LINK: 

https://www.slideshare.net/changezi/khutbat-e-karbala-hindiby-syed-ul-ulema-syed-ali-naqi-naqvi-sahab-ts/edit?src=slideview 


Qatilan e Hussain (a.s.) Ka Mazhab - By: Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

Qatilan e Hussain (a.s.) Ka Mazhab 

Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 

Moharram 1351 Hijri mein Maulvi AbdulShakoor Sahab ne eik hangama kheiz kitab likhi jismein unhon ne likha ke qatilan e Hussain (a.s.) Shia they. Sarkar Syed ul Ulema ne tareekhi haqaaeq ki raushni mein Maulvi Abdul Shakoor Sahab ki kitab ki radd meiN eik silsilewaar mazmoon Sarfaraz akhbar mein likha jo 7 qiston mein shaya hua. Isi mazmoon ko Janab Ibne Hussain Naqvi Sahab ne tasneef ki surat meiN Imamia Mission Lucknow ke silsilae esha'at ki pahli kadi ke taur par 1351 Hijri mein shaya kiya. kitab ke satweiN edition ki pdf hazir hai jo Imamia Mission Aligarh se 2003 mein shaya hua tha aur ab nayaab hai. 

FREE DOWNLOAD LINK: 

https://www.slideshare.net/changezi/qatilan-e-hussan-as-ka-mazhab-by-syed-ul-ulema-syed-ali-naqi-naqvi-sahab-ts-49479055/edit?src=slideview 




Thursday, December 10, 2015

Islam Ki Hakimana Zindagi - By: Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

Islam Ki Hakimana Zindagi 
By: Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 

Yeh Sarkar Syed ul Ulema t.s. ke 10 bayanaat ka majmooa hai jo Madrasatul Waezeen Lucknow mein huey aur Janab Syed Mohammed Raza Sahab Naqvi Nasirabadi ne short hand meiN qalamband kiye. 1354 Hijri mein pahli baar Imamia Mission Lucknow se shaaya huey, aur iske kai edition yahaN se chapey. 1960 mein Imamia Mission Pakistan ne isko 'Zindagi ka hakeemana tasawwur' ke naam se shaya kiya. 

FREE DOWNLOAD LINK 

https://www.slideshare.net/changezi/islam-ki-hakimana-zindagi-by-syed-ul-ulema-syed-ali-naqi-naqvi-sahab-ts/edit?src=slideview 



(Hindi) Agar waqaey Karbala Na hota to kya hota - By: Syed ul Ulema t.s.

(Hindi) Agar waqaey Karbala Na hota to kya hota 

By: Syed ul Ulema  t.s. 

Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi t.s. ki yeh taqreer April 10, 1955 ko 

Lahore Pakistan ke azeemush-shan ijlas "Hussain Day" mein hui thi. 

FREE DOWNLOAD LINK 

https://www.slideshare.net/changezi/agar-waqaey-karbala-na-hota-to-kya-hota-by-syed-ul-ulema-ts/edit?src=slideview 


(Hindi) Insaniyat ka Mujassema - Ayatullah Al Uzma Syed Ali Naqi Naqvi t.s.

(Hindi) Insaniyat ka Mujassema 

Ayatullah Al Uzma Syed Ali Naqi Naqvi t.s. 

FREE  DOWNLOAD  LINK 

https://www.slideshare.net/changezi/insaniyat-ka-mujassema-ayatullah-syed-ali-naqi-naqvi-ts/edit?src=slideview 


The Compilation of nahjul Balagha - Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

The Compilation of nahjul Balagha 

The brilliant preface written by
Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 
to the Urdu translation of Nahjul Balagha by 
Mufti Jaffer Hussain Sahab Marhoom. 

FREE DOWNLOAD LINK 

https://www.slideshare.net/changezi/the-compilation-of-nahjul-balagha-by-syed-ul-ulema-syed-ali-naqi-naqvi-sahab-ts/edit?src=slideview 


Muqaddema Nahjul Balagha - By: Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

Muqaddema Nahjul Balagha 

By: Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 

Allama Mufti Jaffer Hussain Sahab ne Nahjul Balagha ka jo tarjuma kiya tha aur woh Lahore, Pakistan se Shaya hua tha, uska Muqaddema Sarkar Syed ul Ulema ne tahreer farmaya tha. yahaN sirf woh 33 safhaat ka muqaddema peish kiya ja raha hai. 

FREE DOWNLOAD LINK 

https://www.slideshare.net/changezi/muqaddema-nahjul-balagha-by-syed-ul-ulema-syed-ali-naqi-naqvi-sahab-ts/edit?src=slideview 




Haqeeqat e Sabr - By: Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

Haqeeqat e Sabr 

By: Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 

March 1, 1964 ko Etawa meiN record ki hui Syed ul Ulema ki eik taqreer.

FREE DOWNLOAD LINK 

https://www.slideshare.net/changezi/haqeeqat-e-sabr-by-syed-ul-ulema-syed-ali-naqi-naqvi-sahab-ts/edit?src=slideview


PhD Thesis of Syed Rizwan Zamir on Syedul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi t.s.

PhD Thesis of Syed Rizwan Zamir 

on 

Syedul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi t.s. 

FREE DOWNLOAD LINK 

http://www.slideshare.net/changezi/rizwan-ph-d 


Ilahiyaat ke 100 masael wa naghma e tauheed - Syed ul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

Ilahiyaat ke 100 masael wa naghma e tauheed 

Syed ul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 

Ba'silsilaey Chaharda Sad Sala Yadgar e Murtazawi 1376 Hijri. 

(Az kalam Imam ul Arifeen Ameerul Momineen Hazrat Ali Ibne Abi Talib a.s.) 

FREE DOWNLOAD LINK 

https://www.slideshare.net/changezi/ilahiyaat-ke-100-masael-wa-naghma-e-tauheed-by-syed-ul-ulama-syed-ali-naqi-naqvi-sahab-ts/edit?src=slideview 


Waqaey Karbala se Dars e Ikhlaq - By: Syed ul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

Waqaey Karbala se Dars e Ikhlaq 

Syed ul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 


Ganga Prasad Memorial Hall Aminabad, Lucknow ki eik Taqreer. 
" Yaqeen kiya ja sakta hai ke jo jhoota hai woh bhi sach ko achcha samajhta hai, warna sachcha banne ki koshish na kare. jhootki imarat khud qaaem hai sachchai ki qadr o manzilat ke ehsaas par. Isi tarah koi bade se bada bad-diyanat ho usey be'iman kahiye to woh bura maaneiga aur usey dushnaam samjheiga. Zalim ko agar zalim kahiye to woh khush na hoga, aur khaaen ko khaaen kahiye to woh hargiz baleeda na hoga." 


FREE DOWNLOAD LINK 

http://www.slideshare.net/changezi/waqaey-karbala-se-dars-e-ikhlaq-by-syed-ul-ulama-syed-ali-naqi-naqvi-sahab-ts 


(Hindi) Maqam e Shabbiri By: Syed ul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

(Hindi) Maqam e Shabbiri 


By: Syed ul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 



Haqeeqat e abadi hai maqam e Shabbiri 
Badalte rahte haiN andaz e Koofi wa Shami 
' Syed ul Ulama ki yeh taqreer Moharram 1372 Hijri mein Professor Syed Masood Hasan Rizvi Sahab ki kothi,  Deen Dayal Road, Lucknow meiN hui.' 


FREE DOWNLOAD LINK 

http://www.slideshare.net/changezi/hindi-maqam-e-shabbiri-by-syed-ul-ulama-syed-ali-naqi-naqvi-sahab-ts 


(Hindi) Hussain a.s. ki Shahadat aur uske karan - By: Syed ul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

(Hindi) Hussain a.s. ki Shahadat 

aur uske karan 

Syed ul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 

FREE DOWNLOAD LINK 

http://www.slideshare.net/changezi/shahadate-hussainauruskekaran 


Musalmanon ki haqeeqi aksariyat. 'Waqaey Karbala ka eik khaas pahloo.' : Sarkar Syed ul Ulema t.s.

Musalmanon ki haqeeqi aksariyat. 


'Waqaey Karbala ka eik khaas pahloo.' 



By: Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi t.s. 



" Hussain a.s. ne apne saath ghair khandan ki tamam jama'aton ke bahot se Ashab, Ansar o awan ko misal mein peish kiya, jinke khayalat o ehsasat o jazbat mein hadd e mushtarak siwae nusrat e Islam ke aur kuch nahin ho sakta. Haqeeqatan itne hum'ahang, hum'dil, hum'zaban, sabit qadam, mustaqil pukhta Musalman duniya ke saamne ba'taur namoonae amal ke na waqaey Karbala ke pahle kabhi peish huey na waqaey Karbala ke baad. Aur yeh waqaey Karbala ka woh pahlu hai jis ki bina par Musalmanon ko hameisha iss ki yaad taza rakhna cHaahiye." 


FREE DOWNLOAD LINK 

http://www.slideshare.net/changezi/musalmanon-ki-haqeeqi-aksariyat-by-syed-ul-ulama-syed-ali-naqi-naqvi-ts 


Rahnumayan e Islam - By: Syed ul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

Rahnumayan e Islam 

Syed ul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.
 
" Hidayat ki pyaas aadmi ko har chamakte huEy baalu ke takhte ki taraf daudati hai,woh paani samajh kar lapak jata hai magar baad meiN dhoka khaata hai. Zaroorat hai aise be'khata insanoN ke ta'rruf ki jinki saari zindagi mein kitni hi gahri nigaah se chaan been ki jaaey, unki bulandi ke tasawwur mein koi kami nahiN balki taraqqi hi hoti chali jaaey.' yeh Haqeeqi Rahnumayaan e Islam ' hi haiN jin meiN se har eik ki zindagi insani zindagi ki manzil e meraj ka pata deiti hai."

FREE DOWNLOAD LINK 

http://www.slideshare.net/changezi/rahnumayan-e-islam-by-syed-ul-ulama-syed-ali-naqi-naqvi-sahab-ts 


Nafs e Mutmainnah - By: Syed ul Ulama Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

Nafs e Mutmainnah 

By: Syed ul Ulama Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 


" hazrat Imam Hussain a.s. pahle din se samjhe huey haiN ke mujhe maut ke darya meiN tairna hai, magar jo maut ko yaqeeni taur se dil mein thaane huey hai, woh hifz e hudood e aaine Shariyat wa aql ke liye jaan ke tahaffuz ki suratein bhi ikhteyar kar raha hai. Kabhi Macca mein panah leikar, kabhi Macca ko choaRdkar, aur kabhi Karbala pahoNchne ke baad sharaaet e sulho peish farmakar, aur yahaN tak ke roaz e Aashoora ittemame hujjat ke liye khutbe padhkar aur uss waqt ka intezaar karke jab aaghaaz e jung udhar se ho. 
Amal meiN yeh thairao baghair kaamil sukoon o itminaane Nafs ke ho hi nahiN sakta." 


FREE DOWNLOAD LINK 

http://www.slideshare.net/changezi/nafs-e-mutmainnah-by-syed-ul-ulama-ali-naqi-naqvi-sahab-ts 


Mohabbate Ahle Bayt aur Itaat: by Syed ul Ulama Ali Naqi Naqvi t.s.

Mohabbate Ahle Bayt aur Itaat: 

by Syed ul Ulama Ali Naqi Naqvi t.s. 


"Koi shak nahiN ke Ahle Bayt a.s. ki mohabbat baaese nijaat hai,magar mohabbat ke liye itaat eik laazmi taqaza hai.baghair itaat mohabbat ke daawey ko khud Ahle Bayt a.s. ne naqabile qubool qaraar diya hai" 


FREE DOWNLOAD LINK 

http://www.slideshare.net/changezi/mohabbate-ahlebaytauritaat 


Mazhab e Shia Eik Nazar Mein: by Syed ul Ulama Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

Mazhab e Shia Eik Nazar Mein: 

by Syed ul Ulama Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 


Sheeyat kya hai? 


Deen e Islam ko uski tamam nazri aur amli taqazon ke saath ikhteyar karna. 
Hukoomat e Ilahiya ko uske poore taqazoN ke saath tasleem karna, jis ke liye Haakim aur uske murattab karda nizam ki ma'refat zaroori hai. Yeh 'Usool e Deen' haiN. Aur phir iss nizam ke qawaed wa zawabet ko maloom karke unpar amal, yeh pabandi Shareeyat hai, jiske khaas arkaan ko 'Furooe Deen' kahte haiN. 
Jaame lafz se tabeer karna chaaheiN to barabar ke 2 juz hain, 'Haq shinasi' wa 'farz shinasi'. Isi ko wus'at di jaaey to aqaaed wa aamaal ki poori duniya aa jaaey, aur inhi ke maan'ne aur baratne ka naam hoga 'Haqeeqi Islam' aur 'Sheeyat'. Jiski tafseel mujmal taur par yeh hai. .. .. 


FREE DOWNLOAD LINK 

http://www.slideshare.net/changezi/mazhab-e-shia-eik-nazar-mein-by-syed-ul-ulama-ali-naqi-naqvi-sahab-ts 


(Hindi) Shadi Khana Abadi - Syed ul Ulama Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

(Hindi) Shadi Khana Abadi 

Syed ul Ulama Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 


" Ab zaroorat hai ke qadam aagey badhaya jaaey, zaroorat hai ke iss waqt hum Ahle Bayt a.s. ki Shariyat ko aur unki Seerat ko samne rakhkheiN. Shadi ko eik mazhabi rasm samjha jaae aur un be'kaar rasmoN se alag raha jaaey. "


FREE DOWNLOAD LINK 

http://www.slideshare.net/changezi/shadi-khana-abadi-syed-ul-ulama-ali-naqi-naqvi-sahab-ts 


(Hindi) Hamari Rasmein Aur BandisheiN - Syed ul Ulama Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

(Hindi) Hamari Rasmein Aur BandisheiN 

Syed ul Ulama Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 


" Hum agar apni sabhi rasmoN mein Rasool (s) aur Ahle Bayt e Rasool (s) ke achche tareeqe ko saamne rakhkhein to hamari zindagi meiN woh inquilab ho jaaey jo hamari aati hui maut ko palta de. Warna samajh leejiye ke hum jaldi hi ghalat harf ki tarah iss Duniya se mitt jaeiNge. Koshish keejiye ke aisa na ho."


FREE DOWNLOAD LINK 

https://www.slideshare.net/changezi/hamari-rasmein-aur-bandishein-syed-ul-ulama-ali-naqi-naqvi-sahab-ts/edit?src=slideview 


Wednesday, December 9, 2015

(Hindi) Islami Tahzeeb - Syed ul Ulama Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

(Hindi) Islami Tahzeeb 

Syed ul Ulama Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 


" Islami tamaddun ka sarchashma 4 cheezeiN haiN. 
Pahle: La Ilaha 
Doosre: Illallah 
Teesre: Rabbul Aalameen 
Chauthe: Malik e Yaumiddeen, yaani Akherat ki jaza wa saza ka khayal. 
Yehi 4 woh cheezeiN haiN jinse milkar Islami Tamaddun ki tashkeel ho jati hai." 


FREE DOWNLOAD LINK 

http://www.slideshare.net/changezi/islami-tahzeeb-syed-ul-ulama-syed-ali-naqi-naqvi-sahab-ts 


(Hindi) Maqsood e Kaba By: Syed ul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi t.s.

(Hindi) Maqsood e Kaba 

Syed ul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi t.s


Hazrat Ali a.s. ki Kaba mein wiladat aur aqloN ki hairatangeiz thokreiN. Sath hi sath eiterazaat ke jawabaat


FREE DOWNLOAD LINK 

http://www.slideshare.net/changezi/maqsood-e-kaba-hindi-by-syed-ul-ulama-syed-ali-naqi-naqvi-ts 


(Hindi) Meraj e Insaniyat - Hussain a.s. By: Syed ul Ulama Ali Naqi Naqvi t.s.

(Hindi) Meraj e Insaniyat - Hussain a.s. 

Syed ul Ulama Ali Naqi Naqvi t.s. 


" Yehi Insaniyat ki woh Meiraj hai jisko Imam Hussain a.s. ke baad waale bataate rahe aur wohi aaj Hussain a.s. ke kirdar meiN bahot hi chamak ke saath nazar aa rahi hai."


FREE DOWNLOAD LINK 

http://www.slideshare.net/changezi/meraj-e-insaniyat-hussain-as-by-syed-ul-ulama-ali-naqi-naqvi-ts


(Hindi) Hussain [a.s.] Aur Islam - Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

(Hindi) Hussain (a.s.) Aur Islam 

Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 



" Eitihasik sansar meiN Hussain ka parichay deine ki aawashyakta nahiN hai. Aapke vyaktitwa tatha mahaan kaaryoN ke saamne karodoN manushya mastak jhukaey huey hain. Sambhav hai ke aapne unke jeevan ki adbhut ghatnaaoN ko na suna ho, parantu aapne Hussain ka naam to awashya hi suna hoga. .. .."


FREE DOWNLOAD LINK 


http://www.slideshare.net/changezi/hussain-aur-islam-hindi-by-syed-ul-ulema-syed-ali-naqi-naqvi-sahab-ts


(Hindi) Janab e Zainab Ki Shakhsiyat - By: Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi t.s.

(Hindi) Janab e Zainab Ki Shakhsiyat 

Syed ul Ulema Syed Ali Naqi Naqvi t.s. 


" Aap Hazrat Ali Bin Abi Talib a.s. aur Janab e Fatima Zehra s.a. ki badi Beiti aur Paighambar e Islam ki badi Nawasi thiiN. Iss haisiyat se aap Karbala ke waaqaey meiN Hazrat Imam Hussain a.s. ke baad sabse zyada mashoor shakhsiyat thiiN. .. .. "


FREE DOWNLOAD LINK 

http://www.slideshare.net/changezi/janab-e-zainab-ki-shakhsiyat-hindi-by-syed-ul-ulema-syed-ali-naqi-naqvi-ts 


Khilafat e Yazeed ke mutalliq azad raeiN aur zameer ki awazein. By: Syed ul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s.

Khilafat e Yazeed ke mutalliq azad raeiN 

aur zameer ki awazein. 


By: Syed ul Ulama Syed Ali Naqi Naqvi Sahab t.s. 



" Abdullah Bin Hanzala Ghaseel al Malaeka ne Yazeed ki seerat in alfaz meiN bayan ki hai: Woh aisa shakhs hai jo Baap ki AurtoN, aur apni BeitiyoN, BahnoN tak ko nahiN choaRdta, Sharab peeta aur Namaz tark karta hai. (Sawaeq Moharreqa, Matbooa Masr, Page 132) " 


FREE DOWNLOAD LINK 

http://www.slideshare.net/changezi/khilafat-e-yazeed-ke-mutalliq-azad-raein-by-syed-ul-ulama